hai abas ye dahr aur is dahr ka bazar bhi
hai abas ye dahr aur is dahr kā bāzār bhī
chhoḌ de ai dil mire duniyā kā kārobār bhī
baiTh jaatā huuñ to phir uThnā baḌā dushvār hai
jaane kaisā lutf detā hai dayār-e-yār bhī
jān-levā hai tirī har har adā ai jān-e-jāñ
ḳhāmushī bhī nutq bhī iqrār bhī inkār bhī
zulm sahte jā.iye aur muskurāte jā.iye
ishq meñ hai aar dard-o-karb kā iz.hār bhī
shān-e-momin dekhnā ho gar to aa maidān meñ
quvvat-e-bāzū ke aage hech hai talvār bhī
jhuum jāoge kabhī tanhā.iyoñ meñ baiTh kar
gungunā ke dekhnā 'parvāz' ke ash.ār bhī
hai abas ye dahr aur is dahr ka bazar bhi
chhoD de ai dil mere duniya ka karobar bhi
baiTh jata hun to phir uThna baDa dushwar hai
jaane kaisa lutf deta hai dayar-e-yar bhi
jaan-lewa hai teri har har ada ai jaan-e-jaan
KHamushi bhi nutq bhi iqrar bhi inkar bhi
zulm sahte jaiye aur muskuraate jaiye
ishq mein hai aar dard-o-karb ka izhaar bhi
shan-e-momin dekhna ho gar to aa maidan mein
quwwat-e-bazu ke aage hech hai talwar bhi
jhum jaoge kabhi tanhaiyon mein baiTh kar
gunguna ke dekhna 'parwaz' ke ashaar bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.