hai agar lana inqalab naya
hai agar laanā inqalāb nayā
pahle jiine kā ho hisāb nayā
maiñ ne dekhā thā ek ḳhvāb nayā
aa.e din ab hai iztirāb nayā
pesh-e-lafz intisāb-e-bāb nayā
maiñ huuñ ik sāhib-e-kitāb nayā
maiñ ugātā thā nuur kī fasleñ
ḳhvāb thā merā iktisāb nayā
rū-ba-rū chehra thā purānā sā
aa.ina detā kyā javāb nayā
gum thī be-ḳhvābiyoñ meñ aañkh mirī
dekhtā kyā maiñ koī ḳhvāb nayā
un ko suntā rahā maiñ dekhe baġhair
ḳhuub thā darmiyāñ hijāb nayā
ik purāne savāl kā 'aḳhtar'
detā kyā maiñ koī javāb nayā
hai agar lana inqalab naya
pahle jine ka ho hisab naya
main ne dekha tha ek KHwab naya
aae din ab hai iztirab naya
pesh-e-lafz intisab-e-bab naya
main hun ek sahib-e-kitab naya
main ugata tha nur ki faslen
KHwab tha mera iktisab naya
ru-ba-ru chehra tha purana sa
aaina deta kya jawab naya
gum thi be-KHwabiyon mein aankh meri
dekhta kya main koi KHwab naya
un ko sunta raha main dekhe baghair
KHub tha darmiyan hijab naya
ek purane sawal ka 'aKHtar'
deta kya main koi jawab naya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.