hai ajib kashmakash mein gham-e-arzu ka mara
hai ajiib kashmakash meñ ġham-e-ārzū kā maarā
na to arz-e-ġham kā yaarā na kahe baġhair chārā
kaheñ us se haal kyā jo na samajh sake ishārā
ġham-e-ishq ko ye zillat nahīñ hashr tak gavārā
maiñ nahīñ huuñ mauj-e-muztar jo ho be-qarār-e-sāhil
maiñ ġharīq-e-bahr-e-ġham huuñ mujhe DhūñD le kinārā
mujhe kyā miTā sakeñge ġham-e-hijr ke ye tūfāñ
ki abhī hai mere bas meñ tirī yaad kā sahārā
na kahīñ kā mujh ko rakkhā tirī aarzū ne zālim
maiñ jahāñ bhī jā ke Duubā vahīñ mil gayā kinārā
mirī saḳht-jānī bar-haq magar is kā pūchhnā kyā
tire hijr kā zamāna banā jis tarah guzāra
maiñ harīf-e-kashmakash huuñ hai jagah mirī talātum
jise maut kī ho ḳhvāhish vahī DhūñD le kinārā
tire pūchhne ke sadqe ġham-e-dil kā mājrā kyā
tire lutf ne jalāyā tirī be-ruḳhī ne maarā
mirī aarzū aur un ko kahīñ ḳhvāb to nahīñ hai
ye kahāñ chamak rahā hai mire baḳht kā sitārā
hai ajiib chiiz 'sāhir' ye muqaddar-e-vafā bhī
ki usī ko ham ne chāhā jo na ho sake hamārā
hai ajib kashmakash mein gham-e-arzu ka mara
na to arz-e-gham ka yara na kahe baghair chaara
kahen us se haal kya jo na samajh sake ishaara
gham-e-ishq ko ye zillat nahin hashr tak gawara
main nahin hun mauj-e-muztar jo ho be-qarar-e-sahil
main ghariq-e-bahr-e-gham hun mujhe DhunD le kinara
mujhe kya miTa sakenge gham-e-hijr ke ye tufan
ki abhi hai mere bas mein teri yaad ka sahaara
na kahin ka mujh ko rakkha teri aarzu ne zalim
main jahan bhi ja ke Duba wahin mil gaya kinara
meri saKHt-jaani bar-haq magar is ka puchhna kya
tere hijr ka zamana bana jis tarah guzara
main harif-e-kashmakash hun hai jagah meri talatum
jise maut ki ho KHwahish wahi DhunD le kinara
tere puchhne ke sadqe gham-e-dil ka majra kya
tere lutf ne jalaya teri be-ruKHi ne mara
meri aarzu aur un ko kahin KHwab to nahin hai
ye kahan chamak raha hai mere baKHt ka sitara
hai ajib chiz 'sahir' ye muqaddar-e-wafa bhi
ki usi ko hum ne chaha jo na ho sake hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.