hai ajib rishta-e-gum-shuda ki jise khanDar ne bhula diya
hai ajib rishta-e-gum-shuda ki jise khanDar ne bhula diya
Moid Rasheedi
MORE BYMoid Rasheedi
hai ajiib rishta-e-gum-shuda ki jise khañDar ne bhulā diyā
kahīñ zindagī huī ḳhema-zan kahīñ bām-o-dar ne bhulā diyā
kise bhūlnā thā nasīb meñ kise bhūlne kā thā faisla
kise yaad rakhnā thā umr bhar kise chashm-e-tar ne bhulā diyā
vo jo be-nishān se log the vahī manziloñ kā nishāñ hue
jise rahguzar kī ḳhabar huī use rahguzar ne bhulā diyā
vo zarūratoñ kā malāl thā to ye hijratoñ kā savāl hai
vo jo apnī miTTī se kaT ga.e unheñ kis safar ne bhulā diyā
thī jo aag dil meñ lagī huī vo bhī rafta rafta dhuāñ huī
thā jo lams māzī-o-hāl kā use fitna-gar ne bhulā diyā
jo raqam huī sar-e-dāstāñ pas-e-dāstāñ bhī nahīñ huī
thā jo ramz harf-e-kamāl kā vo fasāna-gar ne bhulā diyā
hai ajib rishta-e-gum-shuda ki jise khanDar ne bhula diya
kahin zindagi hui KHema-zan kahin baam-o-dar ne bhula diya
kise bhulna tha nasib mein kise bhulne ka tha faisla
kise yaad rakhna tha umr bhar kise chashm-e-tar ne bhula diya
wo jo be-nishan se log the wahi manzilon ka nishan hue
jise rahguzar ki KHabar hui use rahguzar ne bhula diya
wo zaruraton ka malal tha to ye hijraton ka sawal hai
wo jo apni miTTi se kaT gae unhen kis safar ne bhula diya
thi jo aag dil mein lagi hui wo bhi rafta rafta dhuan hui
tha jo lams mazi-o-haal ka use fitna-gar ne bhula diya
jo raqam hui sar-e-dastan pas-e-dastan bhi nahin hui
tha jo ramz harf-e-kamal ka wo fasana-gar ne bhula diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.