hai ajnabi na-ashna wo ghar tera ye ghar mera
hai ajnabi na-ashna wo ghar tera ye ghar mera
Dharmendra Tijoriwale Azad
MORE BYDharmendra Tijoriwale Azad
hai ajnabī nā-āshnā vo ghar tirā ye ghar mirā
dil kī tarah phir kyoñ jalā vo ghar tirā ye ghar mirā
ik aadmī se jis tarah ik aadmī kuchh duur hai
hai paas ho kar duur sā vo ghar tirā ye ghar mirā
ik jhoñpaḌī phir ik makāñ phir ik imārat ḳhaak phir
kitne libāsoñ meñ rahā vo ghar tirā ye ghar mirā
maiñ ne bahā.e the kabhī jo daaġh dhone ko tere
un āñsuoñ meñ bah gayā vo ghar tirā ye ghar mirā
kuchh khiḌkiyāñ kuchh señk-che phir chār-chhe dīvār bhī
in ḳhaas chīzoñ se banā vo ghar tirā ye ghar mirā
shāh-e-jahāñ ne taaj banvā kar diyā paiġhām ye
ab ban chukā hai maqbara vo ghar tirā ye ghar mirā
āzād ho kar aañkh se Tapkā zamīñ pe jab lahū
us ne ishāre se kahā vo ghar tirā ye ghar mirā
hai ajnabi na-ashna wo ghar tera ye ghar mera
dil ki tarah phir kyon jala wo ghar tera ye ghar mera
ek aadmi se jis tarah ek aadmi kuchh dur hai
hai pas ho kar dur sa wo ghar tera ye ghar mera
ek jhonpaDi phir ek makan phir ek imarat KHak phir
kitne libason mein raha wo ghar tera ye ghar mera
main ne bahae the kabhi jo dagh dhone ko tere
un aansuon mein bah gaya wo ghar tera ye ghar mera
kuchh khiDkiyan kuchh senk-che phir chaar-chhe diwar bhi
in KHas chizon se bana wo ghar tera ye ghar mera
shah-e-jahan ne taj banwa kar diya paigham ye
ab ban chuka hai maqbara wo ghar tera ye ghar mera
aazad ho kar aankh se Tapka zamin pe jab lahu
us ne ishaare se kaha wo ghar tera ye ghar mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.