hai aks satlaj-o-rawi chanab suraj ka
hai aks satlaj-o-rāvī chanāb sūraj kā
is arz-e-ḳhāk kī har shai hai ḳhvāb sūraj kā
falak pe chāñd sitāroñ meñ bhī nihāñ hai vahī
samundaroñ meñ bhī sūraj sarāb sūraj kā
na taab lā sakī pal bhar ko bhī nigāh-e-kalīm
jo koh-e-tūr se ubhrā shabāb sūraj kā
hai be-shumār is aalam meñ raushnī ke ḳhudā
zamīñ pe sahl nahīñ intiḳhāb sūraj kā
vo ek hī hai hamesha se aur rahegā sadā
kabhī na hogā jahāñ meñ javāb sūraj kā
ridā-e-zulmat-e-duniyā 'mirāq' kuchh bhī nahīñ
mirī nazar meñ to shab hai naqāb sūraj kā
hai aks satlaj-o-rawi chanab suraj ka
is arz-e-KHak ki har shai hai KHwab suraj ka
falak pe chand sitaron mein bhi nihan hai wahi
samundaron mein bhi suraj sarab suraj ka
na tab la saki pal bhar ko bhi nigah-e-kalim
jo koh-e-tur se ubhra shabab suraj ka
hai be-shumar is aalam mein raushni ke KHuda
zamin pe sahl nahin intiKHab suraj ka
wo ek hi hai hamesha se aur rahega sada
kabhi na hoga jahan mein jawab suraj ka
rida-e-zulmat-e-duniya 'miraq' kuchh bhi nahin
meri nazar mein to shab hai naqab suraj ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.