hai asliyat ki mera husn-e-zan nahin malum
hai asliyat ki mirā husn-e-zan nahīñ ma.alūm
huā hai kaun ye juzv-e-badan nahīñ ma.alūm
nafas nafas meñ dhueñ kā gumān hotā hai
kahāñ chhupā hai vo sho.ala-fagan nahīñ ma.alūm
kahāñ se aa.ī hai aisī chamak-damak un meñ
ye kaun log haiñ gul-pairahan nahīñ ma.alūm
shu.ūr-e-zīst na iz.hār-e-mudda.ā-e-hayāt
kalām karte haiñ tarz-e-suḳhan nahīñ ma.alūm
ġhazab ḳhudā kā masīhā-e-ahl-e-fan vo haiñ
jinheñ nazākat-e-arbāb-e-fan nahīñ ma.alūm
na tāb-e-dasht-navardī na shahriyat kī umang
mirā junūñ ho kahāñ ḳhema-zan nahīñ ma.alūm
ba-qadr-e-hausla 'hāmid' ġhazal-sarā huuñ maiñ
ijāra-dārī-e-arbāb-e-fan nahīñ ma.alūm
hai asliyat ki mera husn-e-zan nahin malum
hua hai kaun ye juzw-e-badan nahin malum
nafas nafas mein dhuen ka guman hota hai
kahan chhupa hai wo shoala-fagan nahin malum
kahan se aai hai aisi chamak-damak un mein
ye kaun log hain gul-pairahan nahin malum
shuur-e-zist na izhaar-e-muddaa-e-hayat
kalam karte hain tarz-e-suKHan nahin malum
ghazab KHuda ka masiha-e-ahl-e-fan wo hain
jinhen nazakat-e-arbab-e-fan nahin malum
na tab-e-dasht-nawardi na shahriyat ki umang
mera junun ho kahan KHema-zan nahin malum
ba-qadr-e-hausla 'hamid' ghazal-sara hun main
ijara-dari-e-arbab-e-fan nahin malum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.