Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai aur nahin ka aaina mujhko thama diya gaya

Meer Ahmad Naved

hai aur nahin ka aaina mujhko thama diya gaya

Meer Ahmad Naved

MORE BYMeer Ahmad Naved

    hai aur nahīñ ā.īna mujh ko thamā diyā gayā

    ya.anī mire vajūd ko khel banā diyā gayā

    merā savāl thā ki maiñ kaun huuñ aur javāb meñ

    mujh ko hañsā diyā gayā mujh ko rulā diyā gayā

    mere junūñ ko thī bahut ḳhvāhish-e-sair-o-justujū

    mujh ko mujhī se bāñdh kar mujh meñ biThā diyā gayā

    maiñ ne kahā ki zindagī dard diyā gayā mujhe

    maiñ ne kahā ki āgahī zahr pilā diyā gayā

    ḳhvāb thā merā ishq bhī ḳhvāb thā terā husn bhī

    ḳhvāb meñ ya.anī ek aur ḳhvāb dikhā diyā gayā

    hai aur nahin ka aaina mujh ko thama diya gaya

    yani mere wajud ko khel bana diya gaya

    mera sawal tha ki main kaun hun aur jawab mein

    mujh ko hansa diya gaya mujh ko rula diya gaya

    mere junun ko thi bahut KHwahish-e-sair-o-justuju

    mujh ko mujhi se bandh kar mujh mein biTha diya gaya

    main ne kaha ki zindagi dard diya gaya mujhe

    main ne kaha ki aagahi zahr pila diya gaya

    KHwab tha mera ishq bhi KHwab tha tera husn bhi

    KHwab mein yani ek aur KHwab dikha diya gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now