hai bagh-e-tamanna ki bahaar apni jagah KHub
hai bāġh-e-tamannā kī bahār apnī jagah ḳhuub
gul apnī jagah ḳhuub haiñ ḳhaar apnī jagah ḳhuub
ye ḳhema-zanī raah meñ apnī jagah achchhī
uThtā huā manzil pe ġhubār apnī jagah ḳhuub
ham jitne talabgār vo utnā hī gurezāñ
ham apnī jagah ḳhuub haiñ yaar apnī jagah ḳhuub
kam apnī jagah dasht-e-masāfat meñ nahīñ hai
maanā ki haiñ ye shahr-o-dayār apnī jagah ḳhuub
mil jaa.e jo qaid-e-ġham-e-duniyā se rihā.ī
phir to hai tire ġham kā hisār apnī jagah ḳhuub
phir ek bhī pal arsa-e-mahshar se nahīñ kam
kuchh der sitāroñ kā shumār apnī jagah ḳhuub
be-sabrī-e-hijrāñ meñ bhī ik baat hai 'ḳhāvar'
har-chand ki haiñ sabr-o-qarār apnī jagah ḳhuub
hai bagh-e-tamanna ki bahaar apni jagah KHub
gul apni jagah KHub hain KHar apni jagah KHub
ye KHema-zani rah mein apni jagah achchhi
uThta hua manzil pe ghubar apni jagah KHub
hum jitne talabgar wo utna hi gurezan
hum apni jagah KHub hain yar apni jagah KHub
kam apni jagah dasht-e-masafat mein nahin hai
mana ki hain ye shahr-o-dayar apni jagah KHub
mil jae jo qaid-e-gham-e-duniya se rihai
phir to hai tere gham ka hisar apni jagah KHub
phir ek bhi pal arsa-e-mahshar se nahin kam
kuchh der sitaron ka shumar apni jagah KHub
be-sabri-e-hijran mein bhi ek baat hai 'KHawar'
har-chand ki hain sabr-o-qarar apni jagah KHub
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.