hai bahaar apni gul apne hain na gulshan apna
hai bahaar apni gul apne hain na gulshan apna
Talat Siddiqi Nahtori
MORE BYTalat Siddiqi Nahtori
hai bahār apnī gul apne haiñ na gulshan apnā
hai qafas ham jise samjhe the nasheman apnā
nazr-e-bad-zauqī-e-gulchīñ to hue lāla-o-gul
aur kāñToñ ko bhī tarsā kiyā dāman apnā
barq tinkoñ ko jalātī hai jalā.e lekin
ham yahīñ aur banā leñge nasheman apnā
merī mahrūmī ke dam se hai hamiyyat kā bharam
sāmne un ke na phailā kabhī dāman apnā
aaj bhī jin ko hai da.avā-e-nizām-e-jamhūr
dil ke ā.īne meñ dekheñ ruḳh-e-raushan apnā
mere zaḳhmoñ ko agar aap na dekheñ na sahī
ḳhūn-ālūd hai kyoñ dekhiye dāman apnā
ham ne apnoñ ko bhī begāna kiyā jis ke liye
aaj tak ban na sakā vo but-e-pur-fan apnā
phir kareñ qaum ko talqīn-e-mazāhib 'tal.at'
jā.eza pahle to leñ shaiḳh-o-barahman apnā
hai bahaar apni gul apne hain na gulshan apna
hai qafas hum jise samjhe the nasheman apna
nazr-e-bad-zauqi-e-gulchin to hue lala-o-gul
aur kanTon ko bhi tarsa kiya daman apna
barq tinkon ko jalati hai jalae lekin
hum yahin aur bana lenge nasheman apna
meri mahrumi ke dam se hai hamiyyat ka bharam
samne un ke na phaila kabhi daman apna
aaj bhi jin ko hai dawa-e-nizam-e-jamhur
dil ke aaine mein dekhen ruKH-e-raushan apna
mere zaKHmon ko agar aap na dekhen na sahi
KHun-alud hai kyon dekhiye daman apna
hum ne apnon ko bhi begana kiya jis ke liye
aaj tak ban na saka wo but-e-pur-fan apna
phir karen qaum ko talqin-e-mazahib 'talat'
jaeza pahle to len shaiKH-o-barahman apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.