hai barq-e-KHirman-e-jaan soz-e-nihan hamara
hai barq-e-KHirman-e-jaan soz-e-nihan hamara
Munshi Mohammad Hayat Khan Mazhar
MORE BYMunshi Mohammad Hayat Khan Mazhar
hai barq-e-ḳhirman-e-jāñ soz-e-nihāñ hamārā
sargarm-e-jalva-e-ġham husn-e-bayāñ hamārā
rang-e-bahār-āgīñ mazmūn se hai paidā
ye sher kī zamīñ hai yā bostāñ hamārā
ho naqsh-e-ārzū bhī ik sūrat-e-nigārīñ
gar ho musavvir-e-chīñ daur-e-zamāñ hamārā
kyā harf-e-mudda.ā hai ik nashtar-e-rag-e-jāñ
kyoñ sarf-e-ġham hai naqd-e-umr-e-ravāñ hamārā
āġhosh-e-zulm hī meñ parvarda ho chuke haiñ
kyā imtihāñ karegā ye āsmāñ hamārā
sabr-o-qarār dil meñ kis tarah raah paa.eñ
ye nāla-e-shab-e-ġham hai pāsbāñ hamārā
dil-dād-gān-e-ġham ko ishrat se kyā ta.alluq
hai kūcha-e-musībat dārul-jināñ hamārā
ḳhamyāza-e-tamanna hai maujib-e-tabāhī
hai kaun jo uThā.e bār-e-garāñ hamārā
ai baḳht-e-vāzhgūñ ham tujh se ye pūchhte haiñ
kyā ham ko kuchh na degā rozī-rasāñ hamārā
jaur-e-falak kā 'maz.har' parda uThā hī dete
hai sadd-e-rāh lekin zabt-e-fuġhāñ hamārā
hai barq-e-KHirman-e-jaan soz-e-nihan hamara
sargarm-e-jalwa-e-gham husn-e-bayan hamara
rang-e-bahaar-agin mazmun se hai paida
ye sher ki zamin hai ya bostan hamara
ho naqsh-e-arzu bhi ek surat-e-nigarin
gar ho musawwir-e-chin daur-e-zaman hamara
kya harf-e-muddaa hai ek nashtar-e-rag-e-jaan
kyon sarf-e-gham hai naqd-e-umr-e-rawan hamara
aaghosh-e-zulm hi mein parwarda ho chuke hain
kya imtihan karega ye aasman hamara
sabr-o-qarar dil mein kis tarah rah paen
ye nala-e-shab-e-gham hai pasban hamara
dil-dad-gan-e-gham ko ishrat se kya talluq
hai kucha-e-musibat darul-jinan hamara
KHamyaza-e-tamanna hai maujib-e-tabahi
hai kaun jo uThae bar-e-garan hamara
ai baKHt-e-wazhgun hum tujh se ye puchhte hain
kya hum ko kuchh na dega rozi-rasan hamara
jaur-e-falak ka 'mazhar' parda uTha hi dete
hai sadd-e-rah lekin zabt-e-fughan hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.