hai bhare daraKHton ke bawajud ban tanha
hai bhare daraḳhtoñ ke bāvajūd ban tanhā
roz-o-shab ke hañgāme phir bhī anjuman tanhā
ratjagoñ ke vo sāthī kis jahāñ meñ baste haiñ
kyā hamīñ tak aa.egī sub.h kī kiran tanhā
zulf kī hasīñ rāteñ kis pe saya-afgan haiñ
mere ghar tak aa.ī hai bū-e-yāsaman tanhā
terī yaad ne uTh kar mujh se kal ye pūchhā thā
apne ġham ke sahrā meñ jā sakoge tan-tanhā
kuchh kamī na thī dil kī kūcha-e-mohabbat meñ
ek ham hī aa.e the le ke jān-o-tan tanhā
haa.e ye shab-e-vā'da dil kā haal kyā kahiye
hajla-e-urūsī meñ jis tarah dulhan tanhā
thī ḳhudā kī shirkat bhī varna bojh nafrat kā
kis tarah uThā paa.e shaiḳh-o-barhaman tanhā
hai bhare daraKHton ke bawajud ban tanha
roz-o-shab ke hangame phir bhi anjuman tanha
ratjagon ke wo sathi kis jahan mein baste hain
kya hamin tak aaegi subh ki kiran tanha
zulf ki hasin raaten kis pe saya-afgan hain
mere ghar tak aai hai bu-e-yasaman tanha
teri yaad ne uTh kar mujh se kal ye puchha tha
apne gham ke sahra mein ja sakoge tan-tanha
kuchh kami na thi dil ki kucha-e-mohabbat mein
ek hum hi aae the le ke jaan-o-tan tanha
hae ye shab-e-wa'da dil ka haal kya kahiye
hajla-e-urusi mein jis tarah dulhan tanha
thi KHuda ki shirkat bhi warna bojh nafrat ka
kis tarah uTha pae shaiKH-o-barhaman tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.