hai chand jalwa-fagan auj par sitara hai
hai chāñd jalva-fagan auj par sitārā hai
bahār-e-sabza-e-parcham se āshkāra hai
hamīñ ne ḳhuun se sīñchā hai bārhā apne
ye gul hamāre haiñ ye gulsitāñ hamārā hai
bulandiyoñ se pahuñchne lage salām niyāz
adā-e-nāz se pastī ne sar ubhārā hai
uTho uTho ki jigar shaq huā añdheroñ kā
ufuq se sub.h kī tahrīr āshkāra hai
chalo chalo ki rāh-e-irtiqā hai chashm-ba-rāh
baḌho baḌho ki surayyā pe haq tumhārā hai
nasīb-e-qaum meñ kyā rah ga.ī kamī baaqī
zamīn sabz hai ik chāñd hai sitārā hai
utar ke aa gayā jaise zamīñ pe bāġh-e-iram
ravish-ravish ko bahāroñ ne yuuñ sañvārā hai
jo arz-e-pāk pe hai rang-o-nūr kī bārish
ye mālik-e-do-jahāñ kā hasīñ ishārā hai
kisī ko rāhat-o-taskīn-e-dil mile jis se
'sirāj' aisī aziyyat hameñ gavārā hai
hai chand jalwa-fagan auj par sitara hai
bahaar-e-sabza-e-parcham se aashkara hai
hamin ne KHun se sincha hai barha apne
ye gul hamare hain ye gulsitan hamara hai
bulandiyon se pahunchne lage salam niyaz
ada-e-naz se pasti ne sar ubhaara hai
uTho uTho ki jigar shaq hua andheron ka
ufuq se subh ki tahrir aashkara hai
chalo chalo ki rah-e-irtiqa hai chashm-ba-rah
baDho baDho ki surayya pe haq tumhaara hai
nasib-e-qaum mein kya rah gai kami baqi
zamin sabz hai ek chand hai sitara hai
utar ke aa gaya jaise zamin pe bagh-e-iram
rawish-rawish ko bahaaron ne yun sanwara hai
jo arz-e-pak pe hai rang-o-nur ki barish
ye malik-e-do-jahan ka hasin ishaara hai
kisi ko rahat-o-taskin-e-dil mile jis se
'siraj' aisi aziyyat hamein gawara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.