hai dam apna apna adam apna apna
hai dam apnā apnā adam apnā apnā
yahāñ har kisī ko hai hai ġham apnā apnā
nahīñ koī taqlīd ab ḳhud-sarī hai
sabhī kā hai naqsh-e-qadam apnā apnā
kahāñ koī banda kahāñ bandagī hai
magar chāhte haiñ haram apnā apnā
har ik shaḳhs kā ik alag falsafa hai
sanam diin dozaḳh iram apnā apnā
tirī bazm kī hai ye rāhat ghaḌī bhar
chaleñge sabhī le ke ġham apnā apnā
'fidā' kis musannif kī tasnīf kyā hai
samajh apnī apnī qalam apnā apnā
hai dam apna apna adam apna apna
yahan har kisi ko hai hai gham apna apna
nahin koi taqlid ab KHud-sari hai
sabhi ka hai naqsh-e-qadam apna apna
kahan koi banda kahan bandagi hai
magar chahte hain haram apna apna
har ek shaKHs ka ek alag falsafa hai
sanam din dozaKH iram apna apna
teri bazm ki hai ye rahat ghaDi bhar
chalenge sabhi le ke gham apna apna
'fida' kis musannif ki tasnif kya hai
samajh apni apni qalam apna apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.