hai dasht-e-zindagi ye fana tum sada na do
hai dasht-e-zindagī ye fanā tum sadā na do
ho jā.ūñgā maiñ ab ke judā tum sadā na do
phir lauT kar na ā.ūñgā bāzār meñ kabhī
bolī koī lagā ke gayā tum sadā na do
ho jā.egā ye naam dhuāñ ro.egī havā
sūraj hai mere sar pe khaḌā tum sadā na do
vo pattharoñ ko bolne kī de gayā adā
lab par usī kī ab hai sanā tum sadā na do
tārīk shab hai āsmāñ meñ khalbalī sī hai
gūñje hai rote sag kī sadā tum sadā na do
Thahro vo aa gayā hai mire rū-barū yahāñ
ā.īne meñ koī hai khaḌā tum sadā na do
shāyad fazāoñ meñ hai sahar kī azaañ kahīñ
'altāf' usī kī hai ye nidā tum sadā na hai do
hai dasht-e-zindagi ye fana tum sada na do
ho jaunga main ab ke juda tum sada na do
phir lauT kar na aaunga bazar mein kabhi
boli koi laga ke gaya tum sada na do
ho jaega ye nam dhuan roegi hawa
suraj hai mere sar pe khaDa tum sada na do
wo pattharon ko bolne ki de gaya ada
lab par usi ki ab hai sana tum sada na do
tarik shab hai aasman mein khalbali si hai
gunje hai rote sag ki sada tum sada na do
Thahro wo aa gaya hai mere ru-baru yahan
aaine mein koi hai khaDa tum sada na do
shayad fazaon mein hai sahar ki azan kahin
'altaf' usi ki hai ye nida tum sada na hai do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.