hai dhakela pahle apne se sitamgar ki taraf
hai dhakela pahle apne se sitamgar ki taraf
Syed Konain Haider Kazmi
MORE BYSyed Konain Haider Kazmi
hai dhakelā pahle apne se sitamgar kī taraf
lā rahe haiñ ab vo ḳhanjar ko mire sar kī taraf
apnī marzī se hue the nā-muqaddar kī taraf
dasht-zād ab dauḌte haiñ kyoñ samundar kī taraf
chand lamhe vo zarā ġhā.eb huā manzar se aur
aañkh uTThī hī nahīñ dobāra manzar kī taraf
apne andar jhāñknā āsān ho jaatā agar
aañkh jo bāhar khulī hai khultī andar kī taraf
is gumāñ meñ hī bhañvar kī zad se maiñ niklā nahīñ
tū bachāne aa.egā jaise samundar kī taraf
us ke dil se maiñ nikal kar aise aaya tujh talak
koī be-ghar jaise jaatā hai kisī ghar kī taraf
mubtalā huuñ āj-kal maiñ aisī tanhā.ī meñ dost
raat bhar huuñ dekhtā dīvār aur dar kī taraf
dil se tere jaane kā khaTkā nahīñ jaatā hai aur
merā dhyān ab jaatā rahtā hai isī Dar kī taraf
ye bhī mumkin hai dobāra hāthoñ meñ na aa.uuñ maiñ
tum ḳhudārā mat uchhālo mujh ko uupar kī taraf
haath meñ ḳhanjar liye kahte haiñ shoḳhī se mujhe
apnā sar chup-chāp le kar aa jā ḳhanjar kī taraf
kā.enāt aisā hai vo aur huuñ zamīñ ke jaisā maiñ
khīñchtā hai vo mujhe 'kaunain' mehvar kī taraf
hai dhakela pahle apne se sitamgar ki taraf
la rahe hain ab wo KHanjar ko mere sar ki taraf
apni marzi se hue the na-muqaddar ki taraf
dasht-zad ab dauDte hain kyon samundar ki taraf
chand lamhe wo zara ghaeb hua manzar se aur
aankh uTThi hi nahin dobara manzar ki taraf
apne andar jhankna aasan ho jata agar
aankh jo bahar khuli hai khulti andar ki taraf
is guman mein hi bhanwar ki zad se main nikla nahin
tu bachane aaega jaise samundar ki taraf
us ke dil se main nikal kar aise aaya tujh talak
koi be-ghar jaise jata hai kisi ghar ki taraf
mubtala hun aaj-kal main aisi tanhai mein dost
raat bhar hun dekhta diwar aur dar ki taraf
dil se tere jaane ka khaTka nahin jata hai aur
mera dhyan ab jata rahta hai isi Dar ki taraf
ye bhi mumkin hai dobara hathon mein na aaun main
tum KHudara mat uchhaalo mujh ko upar ki taraf
hath mein KHanjar liye kahte hain shoKHi se mujhe
apna sar chup-chap le kar aa ja KHanjar ki taraf
kaenat aisa hai wo aur hun zamin ke jaisa main
khinchta hai wo mujhe 'kaunain' mehwar ki taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.