hai dhup tez koi saeban kaise ho
hai dhuup tez koī sā.ebān kaise ho
ye vaqt ham pe bhalā mehrbān kaise ho
na lafz ho to koī dāstān kaise ho
zabān kaaT lī tum ne bayān kaise ho
hamāre hisse meñ do-gaz zamīn bhī to nahīñ
hamāre haq meñ koī āsmān kaise ho
aḌe raheñge agar apnī zid pe donoñ farīq
to koī faisla bhī darmiyān kaise ho
gañvā na baiThūñ kahīñ tujh ko āzmāne meñ
maiñ Dar rahī huuñ tirā imtihān kaise ho
jo baat jhuuT hai sach kaise maan luuñ us ko
batāo duur ye vahm-o-gumān kaise ho
hai dhup tez koi saeban kaise ho
ye waqt hum pe bhala mehrban kaise ho
na lafz ho to koi dastan kaise ho
zaban kaT li tum ne bayan kaise ho
hamare hisse mein do-gaz zamin bhi to nahin
hamare haq mein koi aasman kaise ho
aDe rahenge agar apni zid pe donon fariq
to koi faisla bhi darmiyan kaise ho
ganwa na baiThun kahin tujh ko aazmane mein
main Dar rahi hun tera imtihan kaise ho
jo baat jhuT hai sach kaise man lun us ko
batao dur ye wahm-o-guman kaise ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.