hai dil aaina-saman parda-e-hail se kya matlab
hai dil aaina-saman parda-e-hail se kya matlab
Haidar Husain Fiza Lucknowi
MORE BYHaidar Husain Fiza Lucknowi
hai dil ā.īna-sāmāñ parda-e-hā.il se kyā matlab
tirā dīdār āsāñ hai kisī mushkil se kyā matlab
jo bahr-e-ishq meñ Duubā use sāhil se kyā matlab
mohabbat dil kī ḳhidmat hai use hāsil se kyā matlab
sukūñ hai maut harakat zindagī kā naam hai hamdam
yahāñ raftār hī raftār hai manzil se kyā matlab
jo ho barbād-e-ulfat kyoñ kisī kā aasrā DhūñDe
Dubone laa.e jo kashtī use sāhil se kyā matlab
agar tum saath ho vīrāna bhī gulshan se baḌh kar ho
na jis mahfil meñ ho tum mujh ko us mahfil se kyā matlab
hai chalnā raah par terī tajassus meñ huuñ sargardāñ
mile terā nishān-e-pā mujhe manzil se kyā matlab
nigāh-e-nāz ke nāvak chalā.e jā chalā.e jā
balā se koī ghāyal ho tujhe ghā.il se kyā matlab
'fazā' ko hai tamanna tere dar pe jab.ha-sā.ī kī
na ho jo āstāñ terā to is manzil se kyā matlab
hai dil aaina-saman parda-e-hail se kya matlab
tera didar aasan hai kisi mushkil se kya matlab
jo bahr-e-ishq mein Duba use sahil se kya matlab
mohabbat dil ki KHidmat hai use hasil se kya matlab
sukun hai maut harakat zindagi ka nam hai hamdam
yahan raftar hi raftar hai manzil se kya matlab
jo ho barbaad-e-ulfat kyon kisi ka aasra DhunDe
Dubone lae jo kashti use sahil se kya matlab
agar tum sath ho virana bhi gulshan se baDh kar ho
na jis mahfil mein ho tum mujh ko us mahfil se kya matlab
hai chalna rah par teri tajassus mein hun sargardan
mile tera nishan-e-pa mujhe manzil se kya matlab
nigah-e-naz ke nawak chalae ja chalae ja
bala se koi ghayal ho tujhe ghail se kya matlab
'faza' ko hai tamanna tere dar pe jabha-sai ki
na ho jo aastan tera to is manzil se kya matlab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.