hai dil hi faqat jigar nahin hai
hai dil hī faqat jigar nahīñ hai
shamshīr to hai sipar nahīñ hai
ḳhālī hai sadaf guhar nahīñ hai
hai aañkh magar nazar nahīñ hai
sar sar hai tirā baġhair saudā
saudā jo milā to sar nahīñ hai
aaheñ nahīñ tere dil kī aaheñ
jab in meñ koī asar nahīñ hai
be-dāna uge to ḳhaak se kuchh
daane meñ agar shajar nahīñ hai
jiine ko to ḳhvāhisheñ haiñ lākhoñ
marne ko jigar magar nahīñ hai
vo yaas kī hai 'amīñ' shab-e-tār
jis shab kī koī sahar nahīñ hai
hai dil hi faqat jigar nahin hai
shamshir to hai sipar nahin hai
KHali hai sadaf guhar nahin hai
hai aankh magar nazar nahin hai
sar sar hai tera baghair sauda
sauda jo mila to sar nahin hai
aahen nahin tere dil ki aahen
jab in mein koi asar nahin hai
be-dana uge to KHak se kuchh
dane mein agar shajar nahin hai
jine ko to KHwahishen hain lakhon
marne ko jigar magar nahin hai
wo yas ki hai 'amin' shab-e-tar
jis shab ki koi sahar nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.