hai dil toDna teri fitrat suna main
hai dil toḌnā terī fitrat sunā maiñ
aur is kī koī had na muddat sunā maiñ
vale ibtidā jaan kar pesh apnī
mohabbat kī hai ye sharī.at sunā maiñ
talāshī meñ saarā jahāñ ghūmtā huuñ
ki jab se jamāl-e-mohabbat sunā maiñ
jo dekhā to jaanā qayāmat hai kyā shai
jahāñ se bahut terī bābat sunā maiñ
ye rangat ye ḳhushbū ye bādal ye jharne
ye sab haiñge terī alāmat sunā maiñ
ajal se kabhū siikh pābandī-e-vaqt
nahīñ detī ik pal ye mohlat sunā maiñ
bahut ḳhvār phirtī hai dar dar farāsat
bahut aish meñ hai jihālat sunā maiñ
baḌī kashmakash meñ huuñ mere azīzo
mohabbat kī bahnā hai nafrat sunā maiñ
na kuchh farq aayā jahāñ ke chalan meñ
bahut soñ sunā terī vahshat sunā maiñ
kabhū aa ke 'parvez' yaañ bhī sunā jā
hai sheroñ meñ tere matānat sunā maiñ
hai dil toDna teri fitrat suna main
aur is ki koi had na muddat suna main
wale ibtida jaan kar pesh apni
mohabbat ki hai ye shariat suna main
talashi mein sara jahan ghumta hun
ki jab se jamal-e-mohabbat suna main
jo dekha to jaana qayamat hai kya shai
jahan se bahut teri babat suna main
ye rangat ye KHushbu ye baadal ye jharne
ye sab hainge teri alamat suna main
ajal se kabhu sikh pabandi-e-waqt
nahin deti ek pal ye mohlat suna main
bahut KHwar phirti hai dar dar farasat
bahut aish mein hai jihaalat suna main
baDi kashmakash mein hun mere azizo
mohabbat ki bahna hai nafrat suna main
na kuchh farq aaya jahan ke chalan mein
bahut son suna teri wahshat suna main
kabhu aa ke 'parwez' yan bhi suna ja
hai sheron mein tere matanat suna main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.