hai dost koi ya mera qatil koi to hai
hai dost koī yā mirā qātil koī to hai
ḳhush huuñ ki merā madd-e-muqābil koī to hai
jūñhī maiñ Duubī bhiiḌ kināre pe lag ga.ī
is laash ke liye chalo sāhil koī to hai
dar khul gayā qafas kā pa sayyād kyā kareñ
paañv meñ ab bhī tauq-e-salāsil koī to hai
tere shahar se mere musāfir nahīñ ga.e
ab pyaar yā rasan ho hamā.il koī to hai
qadġhan hamāre nutq pe iblāġh par lagī
is shahr meñ hamārā bhī qaa.il koī to hai
hai dost koi ya mera qatil koi to hai
KHush hun ki mera madd-e-muqabil koi to hai
junhi main Dubi bhiD kinare pe lag gai
is lash ke liye chalo sahil koi to hai
dar khul gaya qafas ka pa sayyaad kya karen
panw mein ab bhi tauq-e-salasil koi to hai
tere shahar se mere musafir nahin gae
ab pyar ya rasan ho hamail koi to hai
qadghan hamare nutq pe iblagh par lagi
is shahr mein hamara bhi qail koi to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.