hai ghazal se tujhko shaghaf agar sabhi masalon ko suKHan bana
hai ghazal se tujhko shaghaf agar sabhi masalon ko suKHan bana
Akhtar Hashmi
MORE BYAkhtar Hashmi
hai ġhazal se tujh ko shaġhaf agar sabhī mas.aloñ ko suḳhan banā
ġham-e-rozgār kī baat kar tū aziyyatoñ ko suḳhan banā
kabhī mah-ruḳhoñ meñ ulajh gayā kabhī ḳhushbūoñ ke hisār meñ
mire shauq-e-tab.a ne raa.e dī tū na gesūoñ ko suḳhan banā
ka.ī zāviye haiñ savāl ke yahī ġhaur karnā hai ab tujhe
jahāñ mas.aloñ ke bhī hal mileñ unhīñ pahluoñ ko suḳhan banā
tirā shor-ġhul vo suneñge kyoñ jo alam liye haiñ sukūn ke
tujhe un se karnī ho guftugū to ḳhamoshiyoñ ko suḳhan banā
kisī jāñ-ba-lab kī bhī aah sun jo taḌap ke tujh ko pukār le
kabhī dard-e-dil se ḳhitāb kar kabhī āñsuoñ ko suḳhan banā
koī teġh-o-nezā uThā.e jab tū qalam se us ko javāb de
tū rafāqatoñ kī zabān rakh tū sadāqatoñ ko suḳhan banā
ye hai rāz-e-azmat-e-shā.erī tū samajh le 'aḳhtar-e-hāshmī'
ye jo lafz lafz haiñ vus'ateñ inhīñ vus'atoñ ko suḳhan banā
hai ghazal se tujh ko shaghaf agar sabhi masalon ko suKHan bana
gham-e-rozgar ki baat kar tu aziyyaton ko suKHan bana
kabhi mah-ruKHon mein ulajh gaya kabhi KHushbuon ke hisar mein
mere shauq-e-taba ne rae di tu na gesuon ko suKHan bana
kai zawiye hain sawal ke yahi ghaur karna hai ab tujhe
jahan masalon ke bhi hal milen unhin pahluon ko suKHan bana
tera shor-ghul wo sunenge kyon jo alam liye hain sukun ke
tujhe un se karni ho guftugu to KHamoshiyon ko suKHan bana
kisi jaan-ba-lab ki bhi aah sun jo taDap ke tujh ko pukar le
kabhi dard-e-dil se KHitab kar kabhi aansuon ko suKHan bana
koi tegh-o-neza uThae jab tu qalam se us ko jawab de
tu rafaqaton ki zaban rakh tu sadaqaton ko suKHan bana
ye hai raaz-e-azmat-e-shaeri tu samajh le 'aKHtar-e-hashmi'
ye jo lafz lafz hain wus'aten inhin wus'aton ko suKHan bana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.