hai hamari ruh shabnam ru-e-dilbar aaftab
hai hamārī ruuh shabnam rū-e-dilbar āftāb
khīñch legā is ko jab niklā chamak kar āftāb
aap kā naqsh-e-kaf-e-pā kar na de mahshar bapā
is ko dekhā aur utar aaya zamīn par āftāb
hai kisī parda-nashīñ kī be-shak is ko justujū
kuchh to baa.is hai jo yuuñ phirtā hai ghar ghar āftāb
jalva-gāh-e-yār kā aalam nazar aaya kuchh aur
kho gayā hai mil ke zarroñ meñ yahāñ par āftāb
merā dāġh-e-hijr bhī to hogā āḳhir mere saath
dekhnā hai hashr meñ niklegā kyūñkar āftāb
naqsh-e-pā ne aap ke donoñ ko be-ḳhud kar diyā
māh-e-nau gardish meñ hai khātā hai chakkar āftāb
ye tirī ḳhāk-e-qadam kā zarra hai ma.alūm hai
ho gayā charḳh-e-chahārum par pahuñch kar āftāb
āsmāñ ke sabz parde meñ koī māshūq hai
sar kā zevar chāñd hai gardan kā zevar āftāb
husn kī garmī baḌhī ruḳh par javānī kī hai dhuup
din chaḌhā aane lagā hai muñh ke uupar āftāb
ye hai shān-e-bū-turābī ye hai faiz-e-lam-yazal
kar diyā hai jis ne har zarre ko 'akbar' āftāb
hai hamari ruh shabnam ru-e-dilbar aaftab
khinch lega is ko jab nikla chamak kar aaftab
aap ka naqsh-e-kaf-e-pa kar na de mahshar bapa
is ko dekha aur utar aaya zamin par aaftab
hai kisi parda-nashin ki be-shak is ko justuju
kuchh to bais hai jo yun phirta hai ghar ghar aaftab
jalwa-gah-e-yar ka aalam nazar aaya kuchh aur
kho gaya hai mil ke zarron mein yahan par aaftab
mera dagh-e-hijr bhi to hoga aaKHir mere sath
dekhna hai hashr mein niklega kyunkar aaftab
naqsh-e-pa ne aap ke donon ko be-KHud kar diya
mah-e-nau gardish mein hai khata hai chakkar aaftab
ye teri KHak-e-qadam ka zarra hai malum hai
ho gaya charKH-e-chahaarum par pahunch kar aaftab
aasman ke sabz parde mein koi mashuq hai
sar ka zewar chand hai gardan ka zewar aaftab
husn ki garmi baDhi ruKH par jawani ki hai dhup
din chaDha aane laga hai munh ke upar aaftab
ye hai shan-e-bu-turabi ye hai faiz-e-lam-yazal
kar diya hai jis ne har zarre ko 'akbar' aaftab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.