hai haram kis ka kis ke but-KHane
hai haram kis ka kis ke but-KHane
Haji Shafiullah Shafi Bahraichi
MORE BYHaji Shafiullah Shafi Bahraichi
hai haram kis kā kis ke but-ḳhāne
is ko samjhe haiñ kuchh to dīvāne
zindagī kā mazā vo kyā jaane
ġham diye hoñ na jis ko duniyā ne
chashm-e-maḳhmūr haiñ vo paimāne
jin pe qurbāñ hazār maiḳhāne
hosh aa.e na tujh ko dīvāne
pī mohabbat ke aise paimāne
us ko dair-o-haram se kyā matlab
naqsh-e-pā ko jo un ke pahchāne
phir taqāzā hai vahshat-e-dil kā
kar garebāñ ko chaak dīvāne
rah ga.e ḳhud ulajh ke āḳhir-kār
rāz-e-hastī chale the suljhāne
sar uThe phir na sub.h-e-mahshar tak
sar jhukā is tarah se farzāne
dard-e-ulfat se jo nahīñ vāqif
mujh ko aa.e haiñ vo hī samjhāne
kyā mohabbat ke bhī karishme haiñ
sham.a ik hai hazār parvāne
us ke jalve haiñ zarre zarre meñ
dekh dair-o-haram ke dīvāne
ham bhī aa.e haiñ mai-kade meñ 'shafī.a'
apne ġhamgīn dil ko bahlāne
hai haram kis ka kis ke but-KHane
is ko samjhe hain kuchh to diwane
zindagi ka maza wo kya jaane
gham diye hon na jis ko duniya ne
chashm-e-maKHmur hain wo paimane
jin pe qurban hazar maiKHane
hosh aae na tujh ko diwane
pi mohabbat ke aise paimane
us ko dair-o-haram se kya matlab
naqsh-e-pa ko jo un ke pahchane
phir taqaza hai wahshat-e-dil ka
kar gareban ko chaak diwane
rah gae KHud ulajh ke aaKHir-kar
raaz-e-hasti chale the suljhane
sar uThe phir na subh-e-mahshar tak
sar jhuka is tarah se farzane
dard-e-ulfat se jo nahin waqif
mujh ko aae hain wo hi samjhane
kya mohabbat ke bhi karishme hain
shama ek hai hazar parwane
us ke jalwe hain zarre zarre mein
dekh dair-o-haram ke diwane
hum bhi aae hain mai-kade mein 'shafia'
apne ghamgin dil ko bahlane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.