hai hijr phaila hua aur raushni kam hai
hai hijr phailā huā aur raushnī kam hai
mohabbatoñ ke liye ek zindagī kam hai
tirā visāl alāmat hai mere jiine kī
aur ab ke jiine kī ummīd aur bhī kam hai
na vo firāq na nafrat na intihā-e-ġham
mirī hayāt meñ har ek tīrgī kam hai
tum apnī niim sī āñkhoñ se hī pilā Daalo
mire laboñ pe piyāloñ kī tishnagī kam hai
mire mizāj se miltā nahīñ hai terā mizāj
tire mizāj meñ shāyad ki āshiqī kam hai
ajiib badlā huā lag rahā hai vo 'shākir'
aur us ke lahje meñ bhī ab ki be-ruḳhī kam hai
hai hijr phaila hua aur raushni kam hai
mohabbaton ke liye ek zindagi kam hai
tera visal alamat hai mere jine ki
aur ab ke jine ki ummid aur bhi kam hai
na wo firaq na nafrat na intiha-e-gham
meri hayat mein har ek tirgi kam hai
tum apni nim si aankhon se hi pila Dalo
mere labon pe piyalon ki tishnagi kam hai
mere mizaj se milta nahin hai tera mizaj
tere mizaj mein shayad ki aashiqi kam hai
ajib badla hua lag raha hai wo 'shakir'
aur us ke lahje mein bhi ab ki be-ruKHi kam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.