hai hukm ki ho din bhi to hum raat samajh len
hai hukm ki ho din bhī to ham raat samajh leñ
achchhā hai ki is baat ko ham baat samajh leñ
sunte haiñ ki hai gardish-e-ayyām baḌī chiiz
mohlat hameñ mil jaa.e to auqāt samajh leñ
apnā sā kalejā hai kisī kā ki bhare khet
patthar bhī baras jaa.eñ to barsāt samajh leñ
haiñ ġhair ki amrit pe bhī nā-ḳhush haiñ udhar ham
tum zahr bhī bhijvāo to sauġhāt samajh leñ
is tarah phañse haiñ ki samajh buujh hai nālāñ
fursat hameñ mil jaa.e to hālāt samajh leñ
kar de jo ishāra nigah-e-nāz to 'kundan'
jiitī huī baazī ko bhī ham maat samajh leñ
hai hukm ki ho din bhi to hum raat samajh len
achchha hai ki is baat ko hum baat samajh len
sunte hain ki hai gardish-e-ayyam baDi chiz
mohlat hamein mil jae to auqat samajh len
apna sa kaleja hai kisi ka ki bhare khet
patthar bhi baras jaen to barsat samajh len
hain ghair ki amrit pe bhi na-KHush hain udhar hum
tum zahr bhi bhijwao to saughat samajh len
is tarah phanse hain ki samajh bujh hai nalan
fursat hamein mil jae to haalat samajh len
kar de jo ishaara nigah-e-naz to 'kundan'
jiti hui bazi ko bhi hum mat samajh len
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.