hai iKHtilaf zaruri tumhein pata nahin hai
hai iḳhtilāf zarūrī tumheñ patā nahīñ hai
charāġh kaise jalegā jahāñ havā nahīñ hai
tumhāre haath chhuḌāne se ruk gayā hai safar
ye dhuup chhāñv musāfir kā mas.ala nahīñ hai
tumhāre jaane se be-lutf ho ga.ī har shai
ki zahr khā ke bhī dekhā hai zā.iqa nahīñ hai
maiñ DhūñD laayā huuñ jab us ke jaisā duujā shaḳhs
so ab vo kahne lagā mujh sā tīsrā nahīñ hai
zamāñ makāñ meñ kahīñ hogā DhūñD lūñgā use
mujhe bas itnā batā do ki vo ḳhudā nahīñ hai
hai iKHtilaf zaruri tumhein pata nahin hai
charagh kaise jalega jahan hawa nahin hai
tumhaare hath chhuDane se ruk gaya hai safar
ye dhup chhanw musafir ka masala nahin hai
tumhaare jaane se be-lutf ho gai har shai
ki zahr kha ke bhi dekha hai zaiqa nahin hai
main DhunD laya hun jab us ke jaisa duja shaKHs
so ab wo kahne laga mujh sa tisra nahin hai
zaman makan mein kahin hoga DhunD lunga use
mujhe bas itna bata do ki wo KHuda nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.