hai ishq to phir jaan se guzar kyon nahin jate
hai ishq to phir jaan se guzar kyon nahin jate
Mohammad Afzal Khan
MORE BYMohammad Afzal Khan
hai 'ishq to phir jaañ se guzar kyoñ nahīñ jaate
qātil ise kahte ho to mar kyoñ nahīñ jaate
iifā kā agar dil meñ irāda hī nahīñ hai
vā'de se phir ai dost mukar kyoñ nahīñ jaate
duniyā meñ hasīñ aur manāzir bhī bahut haiñ
tum kūcha-e-jānāñ se guzar kyoñ nahīñ jaate
qātil tumheñ ab dekh ke ghabrāne lage haiñ
maqtal meñ ba-andāz-e-digar kyoñ nahīñ jaate
sunte the ki aa.egā kabhī vasl kā mausam
phir hijr ke ye shām-o-sahar kyoñ nahīñ jaate
jazba hai agar dil meñ to phir raushnī ban kar
tārīk fazāoñ meñ bikhar kyoñ nahīñ jaate
sayyād se gar ahl-e-chaman itne ḳhafā haiñ
is baar koī faisla kar kyoñ nahīñ jaate
hai 'ishq to phir jaan se guzar kyon nahin jate
qatil ise kahte ho to mar kyon nahin jate
ifa ka agar dil mein irada hi nahin hai
wa'de se phir ai dost mukar kyon nahin jate
duniya mein hasin aur manazir bhi bahut hain
tum kucha-e-jaanan se guzar kyon nahin jate
qatil tumhein ab dekh ke ghabrane lage hain
maqtal mein ba-andaz-e-digar kyon nahin jate
sunte the ki aaega kabhi wasl ka mausam
phir hijr ke ye sham-o-sahar kyon nahin jate
jazba hai agar dil mein to phir raushni ban kar
tarik fazaon mein bikhar kyon nahin jate
sayyaad se gar ahl-e-chaman itne KHafa hain
is bar koi faisla kar kyon nahin jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.