hai itni dhup ki tanhaiyan ujalti hai
hai itnī dhuup ki tanhā.iyāñ ujāltī hai
nigāh āTh-pahar aa.ina khañgāltī hai
maiñ ġhaur-o-fikr kī gahrā.iyoñ meñ hotā huuñ
tire ḳhayāl kī naddī mujhe uchhāltī hai
har ek lamha huuñ maiñ ḳhud-kushī pe āmāda
kisī tarah mujhe masrūfiyat sañbhāltī hai
vahāñ se pahle kahīñ justujū na mar jaa.e
jahāñ umiid koī rāsta nikāltī hai
suno ki dil meñ adā ho rahī hai aap se aap
vo ek baat jo kahne meñ dam nikāltī hai
hai itni dhup ki tanhaiyan ujalti hai
nigah aaTh-pahar aaina khangalti hai
main ghaur-o-fikr ki gahraiyon mein hota hun
tere KHayal ki naddi mujhe uchhaalti hai
har ek lamha hun main KHud-kushi pe aamada
kisi tarah mujhe masrufiyat sanbhaalti hai
wahan se pahle kahin justuju na mar jae
jahan umid koi rasta nikalti hai
suno ki dil mein ada ho rahi hai aap se aap
wo ek baat jo kahne mein dam nikalti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.