hai iztirab dil mein to dil iztirab mein
hai iztirāb dil meñ to dil iztirāb meñ
Daalā hai tum ne mujh ko ajab pech-o-tāb meñ
DhūñDeñge ek din mujhe ḳhud jalva-hā-e-husn
dekhūñgā maiñ raheñge vo kab tak hijāb meñ
ik husn-e-barq-pāsh kī din raat hai talāsh
apnī qazā ko DhūñD rahā huuñ shabāb meñ
ham ne junūñ ko aql kahā aql ko junūñ
kyā nukta-ras thā ishq hamārā shabāb meñ
ajzā yahī haiñ nusḳha-e-āb-e-hayāt ke
kuchh mastī-e-nigāh milā do sharāb meñ
phir ho rahī hai pursish-e-āmāl roz-e-hashr
yārab sazā-e-maut ga.ī kis hisāb meñ
gesū darāz mast nazar chehra āftāb
ab kuchh kamī nahīñ hai tumhāre shabāb meñ
ḳhat meñ kharī kharī bhī sunā.ī haiñ kuchh unheñ
matlab ye hai kareñ na tavaqquf javāb meñ
duniyā-e-aql-o-hosh meñ 'sāhir' kise nasīb
vo kaif-e-be-ḳhudī jo hai bazm-e-sharāb meñ
hai iztirab dil mein to dil iztirab mein
Dala hai tum ne mujh ko ajab pech-o-tab mein
DhunDenge ek din mujhe KHud jalwa-ha-e-husn
dekhunga main rahenge wo kab tak hijab mein
ek husn-e-barq-pash ki din raat hai talash
apni qaza ko DhunD raha hun shabab mein
hum ne junun ko aql kaha aql ko junun
kya nukta-ras tha ishq hamara shabab mein
ajza yahi hain nusKHa-e-ab-e-hayat ke
kuchh masti-e-nigah mila do sharab mein
phir ho rahi hai pursish-e-amal roz-e-hashr
yarab saza-e-maut gai kis hisab mein
gesu daraaz mast nazar chehra aaftab
ab kuchh kami nahin hai tumhaare shabab mein
KHat mein khari khari bhi sunai hain kuchh unhen
matlab ye hai karen na tawaqquf jawab mein
duniya-e-aql-o-hosh mein 'sahir' kise nasib
wo kaif-e-be-KHudi jo hai bazm-e-sharab mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.