hai jama KHun ragon mein ki rawan kuchh bhi nahin
hai jamā ḳhuun ragoñ meñ ki ravāñ kuchh bhī nahīñ
tum se ye kis ne kahā hai ki vahāñ kuchh bhī nahīñ
koī dhaḌkan kī sī āvāz uThī siine meñ
jab ki hāthoñ se TaTolā to kahāñ kuchh bhī nahīñ
qabl aur baad ke manzar to hue haiñ yaksāñ
tujh se pahle ki tire baad jahāñ kuchh bhī nahīñ
dekh tanhā.ī mujhe chhoḌ ga.e yaar sabhī
muskurā de ki sivā tere yahāñ kuchh bhī nahīñ
phir se birhā meñ jalā 'nūr' karishma kyā hai
koī angār na ātish na dhuāñ kuchh bhī nahīñ
hai jama KHun ragon mein ki rawan kuchh bhi nahin
tum se ye kis ne kaha hai ki wahan kuchh bhi nahin
koi dhaDkan ki si aawaz uThi sine mein
jab ki hathon se TaTola to kahan kuchh bhi nahin
qabl aur baad ke manzar to hue hain yaksan
tujh se pahle ki tere baad jahan kuchh bhi nahin
dekh tanhai mujhe chhoD gae yar sabhi
muskura de ki siwa tere yahan kuchh bhi nahin
phir se birha mein jala 'nur' karishma kya hai
koi angar na aatish na dhuan kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.