hai junun ke bhes mein koi numayan dekhiye
hai junūñ ke bhes meñ koī numāyāñ dekhiye
yuuñ to dāman dekhiye chāhe garebāñ dekhiye
barhamī-e-bazm-e-imkāñ se to aisā Dar nahīñ
haa.e kis dil se magar zulf-e-pareshāñ dekhiye
kuchh asīroñ kī bhī us dam yaad lāzim hai huzūr
fasl-e-gul meñ jab kahīñ gulhā-e-ḳhandāñ dekhiye
is dil-e-īzā-talab ko aur kis se ho umiid
jab but-e-nā-mehrbāñ ko bhī pashemāñ dekhiye
peshvā.ī yuuñ kiyā karte haiñ ahl-e-ishq kī
ḳhud-ba-ḳhud hilne lagī zanjīr-e-zindāñ dekhiye
hazrat-e-'mājid' isī meñ ab hai dil kī ḳhairiyat
jo dikhā.e ye junūn-e-fitna-sāmāñ dekhiye
hai junun ke bhes mein koi numayan dekhiye
yun to daman dekhiye chahe gareban dekhiye
barhami-e-bazm-e-imkan se to aisa Dar nahin
hae kis dil se magar zulf-e-pareshan dekhiye
kuchh asiron ki bhi us dam yaad lazim hai huzur
fasl-e-gul mein jab kahin gulha-e-KHandan dekhiye
is dil-e-iza-talab ko aur kis se ho umid
jab but-e-na-mehrban ko bhi pasheman dekhiye
peshwai yun kiya karte hain ahl-e-ishq ki
KHud-ba-KHud hilne lagi zanjir-e-zindan dekhiye
hazrat-e-'majid' isi mein ab hai dil ki KHairiyat
jo dikhae ye junun-e-fitna-saman dekhiye
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 133)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.