hai kaun moatabar karun kis par yaqin main
hai kaun mo'atabar karūñ kis par yaqīn maiñ
ġhāsib bane vahī jinheñ samjhā amiin maiñ
ḳhanjar chhupā ke laa.e the jo āstīn meñ
samjhā kiye thā un ko jahāñ kā amiin maiñ
na ilm hai na fan na mata-e-hunar koī
is par ye sochnā rahūñ masnad-nashīn maiñ
nāchīz-o-kam-savād jab izzat-ma.āb hoñ
lafzoñ pe kaise phir karūñ āḳhir yaqīn maiñ
dekhā jo hans ko to huā hai bahut malūl
kavvā samajh rahā thā huuñ sab se hasīn maiñ
kyūñkar na rūh-e-'mīr' bhalā mutma.in rahe
fan kī rivāyatoñ kā huuñ dekho amiin maiñ
us par mirī hayāt kā dār-o-madār hai
vo abr-e-āb-dār hai pyāsī zamīn maiñ
haiñ roz-o-shab hayāt ke yaksāniyat bhare
'jāved' ban ke rah gayā zinda machine maiñ
hai kaun mo'atabar karun kis par yaqin main
ghasib bane wahi jinhen samjha amin main
KHanjar chhupa ke lae the jo aastin mein
samjha kiye tha un ko jahan ka amin main
na ilm hai na fan na mata-e-hunar koi
is par ye sochna rahun masnad-nashin main
nachiz-o-kam-sawad jab izzat-maab hon
lafzon pe kaise phir karun aaKHir yaqin main
dekha jo hans ko to hua hai bahut malul
kawwa samajh raha tha hun sab se hasin main
kyunkar na ruh-e-'mir' bhala mutmain rahe
fan ki riwayaton ka hun dekho amin main
us par meri hayat ka dar-o-madar hai
wo abr-e-ab-dar hai pyasi zamin main
hain roz-o-shab hayat ke yaksaniyat bhare
'jawed' ban ke rah gaya zinda machine main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.