hai kaun shai jis ki zid nahin hai jahan KHushi hai malal bhi hai
hai kaun shai jis ki zid nahin hai jahan KHushi hai malal bhi hai
Munawar Khan Ghafil
MORE BYMunawar Khan Ghafil
hai kaun shai jis kī zid nahīñ hai jahāñ ḳhushī hai malāl bhī hai
ġham-e-judā.ī na khā tū ai dil firāq hai to visāl bhī hai
jo Tiika sandal kā hai jabīñ par to paas abrū kī ḳhaal bhī hai
sip.har-e-ḳhūbī ye maah bhī hai sabīl bhī hai hilāl bhī hai
misāl durr-e-najaf se kyā duuñ ezār-sāda ko us parī ke
nahīñ hai baal us meñ naam ko bhī ye aib hai is meñ baal bhī hai
ḳhudā hī jaane ki kis ravish se kiyā thā murġh-e-chaman ne naala
paḌī hai ġhunche kī chiiñ jabīñ par to rañg chehre kā laal bhī hai
hai kaun shai jis ki zid nahin hai jahan KHushi hai malal bhi hai
gham-e-judai na kha tu ai dil firaq hai to visal bhi hai
jo Tika sandal ka hai jabin par to pas abru ki KHal bhi hai
siphar-e-KHubi ye mah bhi hai sabil bhi hai hilal bhi hai
misal durr-e-najaf se kya dun ezar-sada ko us pari ke
nahin hai baal us mein nam ko bhi ye aib hai is mein baal bhi hai
KHuda hi jaane ki kis rawish se kiya tha murgh-e-chaman ne nala
paDi hai ghunche ki chin jabin par to rang chehre ka lal bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.