hai Khaar Khaar jahan narm narm KHu rakhiyo
hai ḳhaar ḳhaar jahāñ narm narm ḳhū rakhiyo
hatheliyoñ meñ gulāboñ ke rang-o-bū rakhiyo
gañvā na dījiyo sab shahr-e-dil-nigārāñ meñ
bachā ke thoḌī sī sahbā-e-ārzū rakhiyo
vo log jo haiñ ta.assub kī tīrgī ke asiir
jalā ke dil kā diyā un ke rū-ba-rū rakhiyo
paroñ se pīTtī sar ko chalī ga.ī bulbul
ilāhī mere chaman kī tū aabrū rakhiyo
ki reza-reza bikhar jā.egī tumhārī zaat
zamāna sang hai na aa.ine kī ḳhū rakhiyo
jo kah rahī haiñ ġhazal rang-e-'mīr' meñ 'nāhīd'
to us ke rutbe kī lillāh aabrū rakhiyo
hai KHar KHar jahan narm narm KHu rakhiyo
hatheliyon mein gulabon ke rang-o-bu rakhiyo
ganwa na dijiyo sab shahr-e-dil-nigaran mein
bacha ke thoDi si sahba-e-arzu rakhiyo
wo log jo hain tassub ki tirgi ke asir
jala ke dil ka diya un ke ru-ba-ru rakhiyo
paron se piTti sar ko chali gai bulbul
ilahi mere chaman ki tu aabru rakhiyo
ki reza-reza bikhar jaegi tumhaari zat
zamana sang hai na aaine ki KHu rakhiyo
jo kah rahi hain ghazal rang-e-'mir' mein 'nahid'
to us ke rutbe ki lillah aabru rakhiyo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.