hai kis ke liye lutf ghazab kis ke liye hai
hai kis ke liye lutf ġhazab kis ke liye hai
ye zābta-e-nām-o-nasab kis ke liye hai
mere liye afsurdagi-e-naḳhl-e-tamannā
ye silsila-e-tāk-e-tarab kis ke liye hai
sach par jo yaqīñ hai to use kyuuñ nahīñ kahte
āḳhir ye zabāñ mohr-ba-lab kis ke liye hai
hai jis pe mohabbat kī nazar hogā pareshāñ
ai sāna-e-gul hijr kī shab kis ke liye hai
jab dil ko ta.alluq na rahā kū-e-sanam se
ye kashmakash-e-tark-o-talab kis ke liye hai
is kār-e-nazar ne kiyā taqdīr kā qaa.il
shab kis ke liye hāsil-e-shab kis ke liye hai
hai kis ke liye lutf ghazab kis ke liye hai
ye zabta-e-nam-o-nasab kis ke liye hai
mere liye afsurdagi-e-naKHl-e-tamanna
ye silsila-e-tak-e-tarab kis ke liye hai
sach par jo yaqin hai to use kyun nahin kahte
aaKHir ye zaban mohr-ba-lab kis ke liye hai
hai jis pe mohabbat ki nazar hoga pareshan
ai sana-e-gul hijr ki shab kis ke liye hai
jab dil ko talluq na raha ku-e-sanam se
ye kashmakash-e-tark-o-talab kis ke liye hai
is kar-e-nazar ne kiya taqdir ka qail
shab kis ke liye hasil-e-shab kis ke liye hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.