hai koi dard musalsal rawan-dawan mujh mein
hai koī dard musalsal ravāñ-davāñ mujh meñ
banā liyā hai udāsī ne ik makāñ mujh meñ
milā hai izn-e-suḳhan kī masāfatoñ kā phir
khule hue haiñ taḳhayyul ke bādbāñ mujh meñ
sahābī shaam sar-e-chashm phailte jugnū
kisī ḳhayāl ne bo dī ye kahkashāñ mujh meñ
muhājrat ye shajar-dar-shajar havāoñ kī
basā.e jaatī hai ḳhāna-badoshiyāñ mujh meñ
ajiib zid pe ba-zid hai ye musht-e-ḳhāk-badan
agar hai merī rahe phir ye merī jaañ mujh meñ
mirā vajūd banā hai ye kaisī miTTī se
samā.e jaatī haiñ kitnī hī hastiyāñ mujh meñ
hai koi dard musalsal rawan-dawan mujh mein
bana liya hai udasi ne ek makan mujh mein
mila hai izn-e-suKHan ki masafaton ka phir
khule hue hain taKHayyul ke baadban mujh mein
sahabi sham sar-e-chashm phailte jugnu
kisi KHayal ne bo di ye kahkashan mujh mein
muhajrat ye shajar-dar-shajar hawaon ki
basae jati hai KHana-badoshiyan mujh mein
ajib zid pe ba-zid hai ye musht-e-KHak-badan
agar hai meri rahe phir ye meri jaan mujh mein
mera wajud bana hai ye kaisi miTTi se
samae jati hain kitni hi hastiyan mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.