hai koi mai-kash na baada hai na paimane ka nam
hai koi mai-kash na baada hai na paimane ka nam
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
MORE BYMumtaz Ahmad Khan Khushtar
hai koī mai-kash na baada hai na paimāne kā naam
muft meñ badnām kar rakkhā hai maiḳhāne kā naam
dūsrā kyā aur hotā aise vīrāne kā naam
dasht-e-vahshat hai munāsib mere kāshāne kā naam
ġham hai merī zindagī ġhamnāk merī zindagī
is liye zindān-e-ġham hai mere vīrāne kā naam
but ga.e dil se magar yād-e-butāñ to dil meñ hai
saath ka.abe ke chalā jaatā hai but-ḳhāne kā naam
bād-e-sarsar le uḌī jo chaar tinke the bache
miT gayā gulshan se āḳhir mere kāshāne kā naam
yaad kartā hai zamāna ab bhī dasht-e-najd ko
qais kā qissa liye phirtā hai vīrāne kā naam
sāqī-e-badmast kā tarz-e-nazar hai bāda-rez
ab kahāñ chaltā hai maiḳhāne meñ paimāne kā naam
ahl-e-irfāñ ke liye hotā hai ye sāmān-e-vajd
jhūmte rahte haiñ le kar tere dīvāne kā naam
jāñ-sitānī chhoḌ zālim jāñ-nisārī kar shi.ār
aaj shāhīñ se kahīñ baḌh kar parvāne kā naam
hote hote ho ga.ī dīvāngī farzāngī
ho gayā hir-phir ke dīvāna hī farzāne kā naam
mujh par us mai-ḳhāna-e-qudrat kā 'ḳhushtar' hai karam
lete haiñ tasnīm-o-kausar jis ke paimāne kā naam
hai koi mai-kash na baada hai na paimane ka nam
muft mein badnam kar rakkha hai maiKHane ka nam
dusra kya aur hota aise virane ka nam
dasht-e-wahshat hai munasib mere kashane ka nam
gham hai meri zindagi ghamnak meri zindagi
is liye zindan-e-gham hai mere virane ka nam
but gae dil se magar yaad-e-butan to dil mein hai
sath kabe ke chala jata hai but-KHane ka nam
baad-e-sarsar le uDi jo chaar tinke the bache
miT gaya gulshan se aaKHir mere kashane ka nam
yaad karta hai zamana ab bhi dasht-e-najd ko
qais ka qissa liye phirta hai virane ka nam
saqi-e-badmast ka tarz-e-nazar hai baada-rez
ab kahan chalta hai maiKHane mein paimane ka nam
ahl-e-irfan ke liye hota hai ye saman-e-wajd
jhumte rahte hain le kar tere diwane ka nam
jaan-sitani chhoD zalim jaan-nisari kar shiar
aaj shahin se kahin baDh kar parwane ka nam
hote hote ho gai diwangi farzangi
ho gaya hir-phir ke diwana hi farzane ka nam
mujh par us mai-KHana-e-qudrat ka 'KHushtar' hai karam
lete hain tasnim-o-kausar jis ke paimane ka nam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.