hai koi mutrib na koi saz hai
hai koī mutrib na koī saaz hai
bas mirā naġhma mirī āvāz hai
aadmī kā kab koī hamrāz hai
merā apnā to yahī andāz hai
jā hī pahuñchūñgā kabhī manzil pe meñ
jazba-e-ulfat par-e-parvāz hai
zindagī ko jāntā huuñ zindagī
ye ġham-e-dildār kā e.ajāz hai
ġham-zada dil rah gayā hai aur maiñ
ab na vo ġhamze na vo ġhammāz hai
zindagī kyā zindagī kā dost kyā
ek dushman dūsrā dam-bāz hai
hai shikast-o-reḳht sāmān-e-junūñ
aql-e-ḳhud-bīñ mufsida-pardāz hai
rahne de allāh vaale haiñ kahāñ
tū bhī ai vaa.iz zamāna-sāz hai
'ḳhushtar' un kā banda-e-nāchīz ban
ye bhī to ik sūrat-e-e.ajāz hai
hai koi mutrib na koi saz hai
bas mera naghma meri aawaz hai
aadmi ka kab koi hamraaz hai
mera apna to yahi andaz hai
ja hi pahunchunga kabhi manzil pe mein
jazba-e-ulfat par-e-parwaz hai
zindagi ko jaanta hun zindagi
ye gham-e-dildar ka eajaz hai
gham-zada dil rah gaya hai aur main
ab na wo ghamze na wo ghammaz hai
zindagi kya zindagi ka dost kya
ek dushman dusra dam-baz hai
hai shikast-o-reKHt saman-e-junun
aql-e-KHud-bin mufsida-pardaz hai
rahne de allah wale hain kahan
tu bhi ai waiz zamana-saz hai
'KHushtar' un ka banda-e-nachiz ban
ye bhi to ek surat-e-eajaz hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.