hai kya kyon aur kaise chhoD de in sab sawalon ko
hai kyā kyoñ aur kaise chhoḌ de in sab savāloñ ko
sañbhal jā aql dil ab jāntā hai terī chāloñ ko
aqīdat meñ haqīqat gum huī aisī ki ab aksar
mujassam dekhte haiñ ham ḳhud apne hī ḳhayāloñ ko
zabāñ-bandī kā mausam hai chaman meñ kyā kareñ jā kar
har ik bulbul se kahnā rok rakkhe apne nāloñ ko
aqīdat fikr ko taqlīd par majbūr kartī hai
muqallid dil banā detā hai kitne aql vāloñ ko
bachegā kyā hamāre paas apnī zindagānī se
agar tafrīq kar deñ ham tumhāre chand sāloñ ko
na darvāza khulā us kā na hī aaya gayā koī
tumhāre baad bas ab dekhte haiñ dil ke jāloñ ko
koī rauzan koī khiḌkī koī rasta kahīñ par ho
añdhere DhūñDte haiñ har taraf din ke ujāloñ ko
paḌe haiñ aql pe jo har aqīdat-mañd sālik kī
na jaane kaise khologe 'hidāyat' aise tāloñ ko
hai kya kyon aur kaise chhoD de in sab sawalon ko
sanbhal ja aql dil ab jaanta hai teri chaalon ko
aqidat mein haqiqat gum hui aisi ki ab aksar
mujassam dekhte hain hum KHud apne hi KHayalon ko
zaban-bandi ka mausam hai chaman mein kya karen ja kar
har ek bulbul se kahna rok rakkhe apne nalon ko
aqidat fikr ko taqlid par majbur karti hai
muqallid dil bana deta hai kitne aql walon ko
bachega kya hamare pas apni zindagani se
agar tafriq kar den hum tumhaare chand salon ko
na darwaza khula us ka na hi aaya gaya koi
tumhaare baad bas ab dekhte hain dil ke jalon ko
koi rauzan koi khiDki koi rasta kahin par ho
andhere DhunDte hain har taraf din ke ujalon ko
paDe hain aql pe jo har aqidat-mand salik ki
na jaane kaise khologe 'hidayat' aise talon ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.