hai madrasa yahi to yahi KHanqah hai
hai madrasa yahī to yahī ḳhānqāh hai
insāñ kā dil hī ek baḌī dars-gāh hai
rusvā na kar de mujh ko ye andāz-e-ḳhāmushī
un ke sivā har ek kī mujh par nigāh hai
sharmā.e bhī vo apne sitam par to kyā huā
sharm-o-hayā se ham pe kab un kī nigāh hai
jo pyaar kī nahīñ na sahī qahr kī sahī
chāra mire maraz kā tirī ik nigāh hai
us ne naqāb chehre se ulTā to hai magar
yārā-e-dīd kis ko ki haa.il nigāh hai
kuchh munhasir guloñ pe nahīñ chashm-e-shauq meñ
har zarra gulsitāñ kā tirī jalva-gāh hai
isyāñ ba-qadr-e-shān-e-karīmī nahīñ mire
koī gunāh hai to yahī ik gunāh hai
goyā kisī ke ishq meñ ham nīm-jāñ na the
kyā aa.e vo ki ab na fuġhāñ hai na aah hai
hai pesh-ḳhema ranjish-e-umr-e-darāz kā
un se jo ye ghaḌī-do-ghaḌī kā nibāh hai
kyoñ ho gayā na dekhte hī maiñ shahīd-e-husn
har baar un ko dekhūñ ye ijz-e-nigāh hai
us be-hunar ko bhaa.e kisī kā kamāl kyā
'sā.ib' faqat uyuub pe jis kī nigāh hai
hai madrasa yahi to yahi KHanqah hai
insan ka dil hi ek baDi dars-gah hai
ruswa na kar de mujh ko ye andaz-e-KHamushi
un ke siwa har ek ki mujh par nigah hai
sharmae bhi wo apne sitam par to kya hua
sharm-o-haya se hum pe kab un ki nigah hai
jo pyar ki nahin na sahi qahr ki sahi
chaara mere maraz ka teri ek nigah hai
us ne naqab chehre se ulTa to hai magar
yara-e-did kis ko ki hail nigah hai
kuchh munhasir gulon pe nahin chashm-e-shauq mein
har zarra gulsitan ka teri jalwa-gah hai
isyan ba-qadr-e-shan-e-karimi nahin mere
koi gunah hai to yahi ek gunah hai
goya kisi ke ishq mein hum nim-jaan na the
kya aae wo ki ab na fughan hai na aah hai
hai pesh-KHema ranjish-e-umr-e-daraaz ka
un se jo ye ghaDi-do-ghaDi ka nibah hai
kyon ho gaya na dekhte hi main shahid-e-husn
har bar un ko dekhun ye ijz-e-nigah hai
us be-hunar ko bhae kisi ka kamal kya
'saib' faqat uyub pe jis ki nigah hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.