hai masiha-e-ajal ko tere bimar se naz
hai masīhā-e-ajal ko tire bīmār se naaz
kis ko duniyā meñ nahīñ apne talabgār se naaz
nāz-bardārī-e-ranjūr-e-abad mushkil hai
uTh sakeñge mire kab tak kisī ġham-ḳhvār se naaz
ban gayā yaar kī tasvīr har ik naqsh-e-qadam
kyā Tapaktā hai parī-vash tirī raftār se naaz
kyoñ na ushshāq ko phir lutf-o-karam ho yaksāñ
naaz se pyaar hai ḳhush-tar tirā aur pyaar se naaz
lan-tarānī kī sadā koh par ab tak hai buland
in butoñ ko hai nahīñ tālib-e-dīdār se naaz
ab tire nāz-e-bajā ko bhī vo samjhā bejā
ḳhat numāyāñ hai munāsib nahīñ aġhyār se naaz
kyoñ na jī bech ke ḳhvāhān 'shahīdī' hoñ hazār
un kā ek ek hai anmol ḳharīdār se naaz
hai masiha-e-ajal ko tere bimar se naz
kis ko duniya mein nahin apne talabgar se naz
naz-bardari-e-ranjur-e-abad mushkil hai
uTh sakenge mere kab tak kisi gham-KHwar se naz
ban gaya yar ki taswir har ek naqsh-e-qadam
kya Tapakta hai pari-wash teri raftar se naz
kyon na ushshaq ko phir lutf-o-karam ho yaksan
naz se pyar hai KHush-tar tera aur pyar se naz
lan-tarani ki sada koh par ab tak hai buland
in buton ko hai nahin talib-e-didar se naz
ab tere naz-e-baja ko bhi wo samjha beja
KHat numayan hai munasib nahin aghyar se naz
kyon na ji bech ke KHwahan 'shahidi' hon hazar
un ka ek ek hai anmol KHaridar se naz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.