hai maslahat ki asir duniya main jaanta hun
hai maslahat kī asiir duniyā maiñ jāntā huuñ
karegī kis dar pe jā ke sajda maiñ jāntā huuñ
havā kī jitnī navāzisheñ haiñ ye sāzisheñ haiñ
charāġh aur āñdhiyoñ kā rishta maiñ jāntā huuñ
maiñ apne ashkoñ kā chhīñTā de duuñ to hosh aa.e
abhī hai us kā zamīr zinda maiñ jāntā huuñ
ye us kī teġheñ ye us ke neze ye us ke ḳhanjar
pighalne vaalā hai saarā lohā maiñ jāntā huuñ
kahāñ se baal ā.īne meñ aa.e ye dekhnā hai
kahāñ se taqsīm aks hogā maiñ jāntā huuñ
jo zimmedārī milī hai jis ko nibhā rahā hai
na koī pyāsā na koī dariyā maiñ jāntā huuñ
kisī zamāne kī ma.arifat kyā kalām karnā
badaltā rahtā hai ye zamāna maiñ jāntā huuñ
samajh rahā huuñ vo kaise bichhḌegā mujh se 'tāriq'
kahāñ vo badlegā apnā rasta maiñ jāntā huuñ
hai maslahat ki asir duniya main jaanta hun
karegi kis dar pe ja ke sajda main jaanta hun
hawa ki jitni nawazishen hain ye sazishen hain
charagh aur aandhiyon ka rishta main jaanta hun
main apne ashkon ka chhinTa de dun to hosh aae
abhi hai us ka zamir zinda main jaanta hun
ye us ki teghen ye us ke neze ye us ke KHanjar
pighalne wala hai sara loha main jaanta hun
kahan se baal aaine mein aae ye dekhna hai
kahan se taqsim aks hoga main jaanta hun
jo zimmedari mili hai jis ko nibha raha hai
na koi pyasa na koi dariya main jaanta hun
kisi zamane ki marifat kya kalam karna
badalta rahta hai ye zamana main jaanta hun
samajh raha hun wo kaise bichhDega mujh se 'tariq'
kahan wo badlega apna rasta main jaanta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.