hai mauj-e-reg-e-rawan ki bahaar sahra mein
hai mauj-e-reg-e-ravāñ kī bahār sahrā meñ
sukūt phailā hai is be-kanār sahrā meñ
tirī ḳharābī to tā'mīr meñ hī muzmir hai
guloñ ke badle mile haiñ jo ḳhaar sahrā meñ
bichhaḌ ga.ī hai kahāñ mere qais kī lailā
lagā.e maiñ ne ka.ī ishtihār sahrā meñ
mire junūñ kī dulhan to sañvar ke baiThī hai
chalo na Dolī uThā ke kahār sahrā meñ
vahāñ pe daal ḳhirad kī to gal nahīñ saktī
kabhī na jaa.e koī hoshiyār sahrā meñ
shikār karne ke apne usuul qaa.em rakh
rahegā jalva tirā barqarār sahrā meñ
sañbhāl ḳhud ko tū ai jashn-e-nau-bahār na ro
kahāñ rahā hai mirā iḳhtiyār sahrā meñ
hai mauj-e-reg-e-rawan ki bahaar sahra mein
sukut phaila hai is be-kanar sahra mein
teri KHarabi to ta'mir mein hi muzmir hai
gulon ke badle mile hain jo KHar sahra mein
bichhaD gai hai kahan mere qais ki laila
lagae main ne kai ishtihaar sahra mein
mere junun ki dulhan to sanwar ke baiThi hai
chalo na Doli uTha ke kahaar sahra mein
wahan pe dal KHirad ki to gal nahin sakti
kabhi na jae koi hoshiyar sahra mein
shikar karne ke apne usul qaem rakh
rahega jalwa tera barqarar sahra mein
sanbhaal KHud ko tu ai jashn-e-nau-bahaar na ro
kahan raha hai mera iKHtiyar sahra mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.