hai muamma meri mohabbat bhi
hai muamma mirī mohabbat bhī
shukr ke saath hai shikāyat bhī
dil ko pyārī hai jis kī nafrat bhī
kyā ho gar vo kare mohabbat bhī
dushman-e-e'tibār hotī hai
ba.az hālāt meñ haqīqat bhī
isī māmūre meñ banā lī hai
sāda-lauhoñ ne apnī jannat bhī
is mohabbat pe naaz kyā kiije
ho milī jis meñ kuchh muravvat bhī
aag dil kī kisī tarah na bujhī
pī ke dekhī mai-e-mohabbat bhī
tere kūche meñ jaa.eñ kis muñh se
kho chuke ham tirī amānat bhī
ho basārat se kyā umiid 'razā'
dhoke detī hai jab basīrat bhī
hai muamma meri mohabbat bhi
shukr ke sath hai shikayat bhi
dil ko pyari hai jis ki nafrat bhi
kya ho gar wo kare mohabbat bhi
dushman-e-e'tibar hoti hai
baz haalat mein haqiqat bhi
isi mamure mein bana li hai
sada-lauhon ne apni jannat bhi
is mohabbat pe naz kya kije
ho mili jis mein kuchh murawwat bhi
aag dil ki kisi tarah na bujhi
pi ke dekhi mai-e-mohabbat bhi
tere kuche mein jaen kis munh se
kho chuke hum teri amanat bhi
ho basarat se kya umid 'raza'
dhoke deti hai jab basirat bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.