hai mujhe pas-e-wafa ai but-e-ayyar faqat
hai mujhe pas-e-wafa ai but-e-ayyar faqat
Hakeem Aagha Jan Aish
MORE BYHakeem Aagha Jan Aish
hai mujhe pās-e-vafā ai but-e-ayyār faqat
varna kuchh tū hī nahīñ ek tarah-dār faqat
aarzū is dil-e-shaidā kī yahī hai ki tirā
ek bosa kabhī de de lab-e-sofār faqat
vā'izā ḳhuld ko ham le ke kareñ kyā ham ko
rashk-e-sad-ḳhuld hai vo sāya-e-dīvār faqat
faḳhr samjhe haiñ sab abnā-e-jahāñ dā've ko
hai agar 'aar to ik mujh hī ko hai 'aar faqat
ai gul-andām tire sar kī qasam ġhairoñ kī
ḳhaar hai ek ye nazroñ meñ gunahgār faqat
ai falak aur nahīñ kuchh havas-e-dil un se
hāl-e-dil apnā kiyā chāhūñ huuñ iz.hār faqat
chāragar sūda-e-almās chhiḌak mushk ke saath
dil ke zaḳhmoñ pe na rakh marham-e-zañgār faqat
yuuñ to sab misrī kī Daliyāñ haiñ magar 'aish' sunā
dil-pasand apne haiñ ik 'mīr' ke ash’ār faqat
hai mujhe pas-e-wafa ai but-e-ayyar faqat
warna kuchh tu hi nahin ek tarah-dar faqat
aarzu is dil-e-shaida ki yahi hai ki tera
ek bosa kabhi de de lab-e-sofar faqat
wa'iza KHuld ko hum le ke karen kya hum ko
rashk-e-sad-KHuld hai wo saya-e-diwar faqat
faKHr samjhe hain sab abna-e-jahan da'we ko
hai agar 'ar to ek mujh hi ko hai 'ar faqat
ai gul-andam tere sar ki qasam ghairon ki
KHar hai ek ye nazron mein gunahgar faqat
ai falak aur nahin kuchh hawas-e-dil un se
haal-e-dil apna kiya chahun hun izhaar faqat
chaaragar suda-e-almas chhiDak mushk ke sath
dil ke zaKHmon pe na rakh marham-e-zangar faqat
yun to sab misri ki Daliyan hain magar 'aish' suna
dil-pasand apne hain ek 'mir' ke ash’ar faqat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.