hai nafas nafas teri aarzu hai qadam qadam teri justuju
hai nafas nafas tirī aarzū hai qadam qadam tirī justujū
maiñ jahāñ rahūñ maiñ kahīñ chalūñ tirī yaad miltī hai kū-ba-kū
hai havā meñ jaise mahak tirī kisī abr meñ hai jhalak terī
mirī shaam ke ye nuqūsh bhī tire jaise lagte haiñ hū-ba-hū
kabhī ashk se mirī aañkh nam kabhī ḳhuuñ se jism ye tar-ba-tar
tire ishq kī ye namāz bhī paḌhūñ kaise dost maiñ be-vuzū
hai badan meñ terī hī āhaTeñ tire naam kī haiñ ye dhaḌkaneñ
mirā dil bhī kaise ye maan le ki chalā gayā kahīñ duur tū
yuuñ laboñ pe mere hañsī bhī hai vahīñ aañkh meñ ye namī bhī hai
maiñ imaam koī huuñ dard kā maiñ huuñ fitratan hī udās-ḳhū
mire lab pe us kā bayān hai mire sheroñ kī vahī jaan hai
jise kah rahe ho ġhazal mirī mire yaar kī hai vo guftugū
hai nafas nafas teri aarzu hai qadam qadam teri justuju
main jahan rahun main kahin chalun teri yaad milti hai ku-ba-ku
hai hawa mein jaise mahak teri kisi abr mein hai jhalak teri
meri sham ke ye nuqush bhi tere jaise lagte hain hu-ba-hu
kabhi ashk se meri aankh nam kabhi KHun se jism ye tar-ba-tar
tere ishq ki ye namaz bhi paDhun kaise dost main be-wuzu
hai badan mein teri hi aahaTen tere nam ki hain ye dhaDkanen
mera dil bhi kaise ye man le ki chala gaya kahin dur tu
yun labon pe mere hansi bhi hai wahin aankh mein ye nami bhi hai
main imam koi hun dard ka main hun fitratan hi udas-KHu
mere lab pe us ka bayan hai mere sheron ki wahi jaan hai
jise kah rahe ho ghazal meri mere yar ki hai wo guftugu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.