hai nasim-e-subh aawara usi ke nam par
hai nasīm-e-sub.h āvāra usī ke naam par
bū-e-gul Thahrī huī hai jis kalī ke naam par
kuchh na niklā dil meñ dāġh-e-hasrat-e-dil ke sivā
haa.e kyā kyā tohmateñ thiiñ aadmī ke naam par
phir rahā huuñ kū-ba-kū zanjīr-e-rusvā.ī liye
hai tamāshā sā tamāshā zindagī ke naam par
ab ye aalam hai ki har patthar se Takrātā huuñ sar
maar Daalā ek but ne bandagī ke naam par
kuchh ilaaj un kā bhī sochā tum ne ai chāragaro
vo jo dil toḌe ga.e haiñ dilbarī ke naam par
koī pūchhe mere ġham-ḳhvāroñ se tum ne kyā kiyā
ḳhair us ne dushmanī kī dostī ke naam par
koī pābandī hai hañsne par na ronā jurm hai
itnī āzādī to hai dīvāngī ke naam par
aap hī ke naam se paa.ī hai dil ne zindagī
ḳhatm hogā ab ye qissa aap hī ke naam par
kārvān-e-sub.h yaaro kaun sī manzil meñ hai
maiñ bhaTaktā phir rahā huuñ raushnī ke naam par
hai nasim-e-subh aawara usi ke nam par
bu-e-gul Thahri hui hai jis kali ke nam par
kuchh na nikla dil mein dagh-e-hasrat-e-dil ke siwa
hae kya kya tohmaten thin aadmi ke nam par
phir raha hun ku-ba-ku zanjir-e-ruswai liye
hai tamasha sa tamasha zindagi ke nam par
ab ye aalam hai ki har patthar se Takraata hun sar
mar Dala ek but ne bandagi ke nam par
kuchh ilaj un ka bhi socha tum ne ai chaaragaro
wo jo dil toDe gae hain dilbari ke nam par
koi puchhe mere gham-KHwaron se tum ne kya kiya
KHair us ne dushmani ki dosti ke nam par
koi pabandi hai hansne par na rona jurm hai
itni aazadi to hai diwangi ke nam par
aap hi ke nam se pai hai dil ne zindagi
KHatm hoga ab ye qissa aap hi ke nam par
karwan-e-subh yaro kaun si manzil mein hai
main bhaTakta phir raha hun raushni ke nam par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.