hai niyaz-e-‘ishq se be-KHabar jo na nikle parda-e-naz se
hai niyaz-e-‘ishq se be-KHabar jo na nikle parda-e-naz se
Badiuzzaman Sahar
MORE BYBadiuzzaman Sahar
hai niyāz-e-‘ishq se be-ḳhabar jo na nikle parda-e-nāz se
dil-e-'ġhaznavī' meñ taḌap thī kyā koī pūchhe zulf-e-'ayāz' se
mire hāl-e-dil kī rivāyateñ ye chhupī chhupī sī hikāyateñ
ye kahāñ kahāñ na paḌhī ga.iiñ tire rū-e-mus.haf-e-nāz se
mire dil ko aa mire miit le mire jism-o-jān ko jiit le
kahīñ haar jaa.e na zindagī ġham-e-hijr-hā-e-darāz se
ye shikasta taar ye kushta tan ye ġhinā meñ Duubā huā badan
suno dhīme dhīme hai naġhma-zan ye ḳhamoshī-e-lab-e-sāz se
ye hai kor-chashmoñ kī anjuman hai balā se merī ye zau-fagan
yahāñ kis nazar meñ hai bāñkpan jo milā.e dīda-e-bāz se
mire dil ke taar ko chheḌ kar jo uThe ye nāla-e-pur-asar
to jalā na de tire bām-o-dar ye sharār-e-sho'la-e-sāz se
ye kamāl-e-shāna nahīñ 'sahar' hai jamāl-e-ā.ina-e-nazar
ye pareshāñ kaise sañvar ga.ī zarā pūchho zulf-e-darāz se
hai niyaz-e-‘ishq se be-KHabar jo na nikle parda-e-naz se
dil-e-'ghaznawi' mein taDap thi kya koi puchhe zulf-e-'ayaz' se
mere haal-e-dil ki riwayaten ye chhupi chhupi si hikayaten
ye kahan kahan na paDhi gain tere ru-e-mushaf-e-naz se
mere dil ko aa mere mit le mere jism-o-jaan ko jit le
kahin haar jae na zindagi gham-e-hijr-ha-e-daraaz se
ye shikasta tar ye kushta tan ye ghina mein Duba hua badan
suno dhime dhime hai naghma-zan ye KHamoshi-e-lab-e-saz se
ye hai kor-chashmon ki anjuman hai bala se meri ye zau-fagan
yahan kis nazar mein hai bankpan jo milae dida-e-baz se
mere dil ke tar ko chheD kar jo uThe ye nala-e-pur-asar
to jala na de tere baam-o-dar ye sharar-e-sho'la-e-saz se
ye kamal-e-shana nahin 'sahar' hai jamal-e-aina-e-nazar
ye pareshan kaise sanwar gai zara puchho zulf-e-daraaz se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.