hai paDi khane kamane ki mujhe aazad kar
hai paḌī khāne kamāne kī mujhe āzād kar
kyā karūñ maiñ zindagī aisī mujhe āzād kar
chaak pe rakh kar abhī kitnā ghumā.egā mujhe
sun ai kūza-gar maiñ huuñ miTTī mujhe āzād kar
kokh meñ to kahtā hai aa kar yahāñ jaatā hai bhuul
maiñ karūñgā bandagī terī mujhe āzād kar
gar dikhā to phir mujhe chehra usī kā hī dikhā
yā to le le merī bīnā.ī mujhe āzād kar
mujh ko aadat hai gunāh-e-ishq karne kī 'harī'
qaid to honī hai kitnā bhī mujhe āzād kar
hai paDi khane kamane ki mujhe aazad kar
kya karun main zindagi aisi mujhe aazad kar
chaak pe rakh kar abhi kitna ghumaega mujhe
sun ai kuza-gar main hun miTTi mujhe aazad kar
kokh mein to kahta hai aa kar yahan jata hai bhul
main karunga bandagi teri mujhe aazad kar
gar dikha to phir mujhe chehra usi ka hi dikha
ya to le le meri binai mujhe aazad kar
mujh ko aadat hai gunah-e-ishq karne ki 'hari'
qaid to honi hai kitna bhi mujhe aazad kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.